Shaheedo'n Ke Hain Ye Janaze Ghareebo'n Ke Hain Ye Janaze Azadaro'n Aao Mil Kar Uthao 72 Ke Taboot Hain Tum Aashoor Ka Din Tasawwur Mein Laao 72 Ke Taboot Hain Azadaro'n Aao Mil Kar Uthao 72 Ke Taboot Hain 1) 72 Ka Ek Din Mein Farzand E Zehra Janaze Utha Kar Akele Hi Laya Bari Bebasi Se Har Ek Simt Dekha Nahi Tha Koi Bhi Madad Karne Wala Tum Aashoor Ka Din Tasawwur Mein Laao 2) Hua Jinka Maqtal Mein Pamaal Laasha Kahi'n Par Badan The Kahi'n Unka Sar Tha Wo Jinko Kafan Bhi Mayassar Na Aya Nahi Tha Janazo Pe Un Sab Ke Saya Rakho Phool In Par Kafan Tum Urhao 3) Burair O Zuhair Aur Hur, Wahab E Qalbi Hain Jaun Aur Aabis Ke Jaise Sipahi Saeed Aur Shozab, Habib E Hussaini Wo Asghar Hon Qasim Hon Akbar Ya Ghazi Hum Inke Hain Waris Jahan Ko Batao 4) Hain Inme Sabhi Syeda Ke Dulare Jinhe Bawafa Bhai Keh Kar Pukare Sabhi The Hussain Ibne Haidar Ke Pyare Alam Ke Hi Saye Mein Rehte The Sare Tum Un Par Alam Ka Pharehra Bichhao 5) Ek Aisa Ho Taboot Jis Par Ho Sehra Uthe Ek Taboot Gathri Ke Jaisa Ho Taboot Ke Sath Nan'nha Sa Jhoola Magar Hai Jo Taboot Rab E Wafa Ka Sakina Ka Mashkiza Us Par Sajaao 6) Ab Is Silsile Ko Hai Aage Barhana Jab Aao To Bachcho'n Ko Humraah Lana Unhe Ye Adab Aur Saliqa Sikhana Wirasat Ye Naslo'n Ko Tum Saunp Jana Jo Zehra Se Wada Kia Wo Nibhao 7) Ye Azlan O Mesum Jahan Ko Batana Shah E Dee'n Ko In Sab Ne Tanha Na Chhora Hum Inko Bhi Hone Nahi Denge Tanha Duaein Hamain Dengi Khud Bibi Zehra Dilo'n Ki Muradain Yahan Aake Paao 72 Ke Taboot Hain Azadaro'n Aao Mil Kar Uthao 72 Ke Taboot Hain