Aj Baghdad Mai Koi Qaidi,hogaya Hai Riha Raza Maula Tere Baba Ka Zakhmi Lasha,baghdad Ke Pul Per Rakha Hai Ya Imam Raza,ya Imam Raza,ya Imam Raza Aj Baghdad Mai Koi Qaidi,hogaya Hai Riha Raza Maula Pul Pe Tere Gareeb Baba Ka,hai Janaza Rakha Raza Maula Ik Bibi Sirhane Bethi Hai,kis Ne Jane Use Khabar Ki Hai Hath Pehlu Pe Apne Rakhe Hue Aayi Hai Fatima Raza Maula Raat Se Pul Pe Lasha Rakha Hai Jo Guzarta Hai Us Pe Hansta Hai Be Basi Per Tumhare Baba Ki,ro Rahi Hai Qaza Raza Maula Haal Ache Nahi Hai Mayat Ke,aaja Aijaz Se Imamat Ke Shehr E Baghdad Se Madine Ka Hai Bohat Fasla Raza Maula Ik Manadi Nida Ye Deta Hai,rafizyon Ka Maula Maara Gaya Aaj Aulad Per Muhammad Ki Waqt Kiya Agaya Raza Maula Kabhi Dadi Ko Yaad Kerta Tha,kabhi Beti Ko Yaad Kerta Tha Waqt E Akhir Tha Us Ke Honton Per,Fatima Fatima Raza Maula Qaid Khane Se Pul Talaq Us Ko,chand Mazdoor Le Ke Aye Hain Beriyon Ke Nishan Gurbat Ka,de Rahe Hai Pata Raza Maula Touq Gardab Ka Paon Ki Beri,yeh Taqallum Sadain Dete Hain Inna Lillah Parh Ke Baba Ka,ab Janaza Utha Raza Maula