Abbas Alamdar Abbas Alamdar Ab Tak Haj Zabano Pe Alamdar Alamdar Abbas Alamdar Ay Naaz E Khuda Zehra Ki Dua Ay Baab E Hawaij Ay Shah E Wafa Sakhiyon Ka Sakhi Sher E Ali Sab Ka Sahara Ay Baab E Hussain Ibn E Ali Syed O Sardar Abbas Abbas Abbas Alamdar Maa Umme Bani Or Tu Hai Fazl Ka Baba Humsheer Ruqaiya Teri Zoja Hai Lubaba Beta Tu Ali Ka Tere Wirsey Mai Hai Kaaba Zehra Ki Duaon Mai Hai Shamil Tera Ghar Baar Mashkeeza Batata Hai Alam Par Jo Saja Hai Saqaye Haram Hai Tu Sakina Ka Chacha Hai Pani Ki Sabilo Pe Tera Naam Likha Hai Saqiye Atash Hai Tuhi Dariya Ka Zameedar Ye Qom Hussaini Hai Kisi Se Nhi Darti Hum Marte Hain Ghazi Se Muhabbat Nhi Marti Wo Hashr Ka Maidan Ho Ya Sindh Ki Dharti Parcham Hai Tera Dono Jahano Ka Madadgar Shamil Hai Tera Naam Wafaon Ki Azan Mai Hai Karbobala Aj Talak Teri Amman Mai Dekha Naa Tere Jaisa Sakhi Dono Jahan Mai Be Dast Hai Tu Shehr E Ata Hai Tera Darbar Bas Arh Laga Kar Tu Agr Hukm E Ajal De 9 Lakh Ka Lashkar Tera Ashal Hi Kuchal De Tu Chahe To Maidan Ka Naqsha Hi Badal De Jab Ghaiz Mai Aye To Lage Jafar E Tayyar Kaise Ho Bayan Raub O Shujat Ki Barai Maidan Mai Aise Teri Chalto Hai Kalai Khud Dekhne Atey Hain Ali Teri Larai Sar Tun Se Urati Hai Sar Sar Teri Talwar Abbas Labe Dariya Jab Tuney Kadam Rakha Baba Ki Shujat Ka Yun Tune Bharam Rakha Ik Hath Mai Naiza Tha Paband E Ijazat Tha Hal Chal Thi Ke Nur Aya Lo Sher E Babbar Aya Chhupte Thy Lain Aise Maut Aney Lagi Jaise Tu Chalta Raha Maula Koi Naa Qareeb Aya Dariya Pai Tu Jab Pohancha Mashqeeza Bhara Lota Maloom Tha Ada Ko Pyason Ka Tujhe Gham Hai Hai Mashq Mai Saanse To Pani Mai Tera Dam Hai Jab Teer Chale Tujh Pe Haye Bazu Kate Tere Jab Teer Laga Mashq Chidi Behgaya Pani Dil Toot Gaya Zakhmi Hua Haidery Sani Ik Shor Utha Zeen Se Ghazi Ko Utaro Shabir Ka Salaar Hai Maro Isy Maro Haye Khaimo Ka Nighedaar Hai Maaro Isey Maaro Jab Teer Laga Sar Pe Therhr Na Sakey Abbas Khaimo Mai Ye Qohoraam Utha Toot Gayi Aas Ay Zain Ye Zeeshan Likhe Kaise Wo Manzar Bedast Gire Chehre Ke Bal Ghazi Zameen Par