Pyaasa Raha Jaan-e-nabi Aey Waey Nehr-e-alqama Uth Thi Rahin Maujain Teri Aey Waey Nehr-e-alqama Wo Khushk Lab Sookha Gala Sher-e-khuda Ki Aal Ka Wo Tere Hauton Par Tari Aey Waey Nehr-e-alqama Toofan Uthana Tha Tujhay Ya Sookh Jana Tha Tujhay Kuch Tu Nay Kidhmat Hi Na Ki Aey Waey Nehr-e-alqama Ek Mashq Pani Kay Liye Abbas Kay Shanay Katay Naddi Lahoo Ki Behgayi Aey Waey Nehr-e-alqama Dubay Lahoo Main Yaq Kalam Kya Kya Ghazalan-e-haram Dekhiye Kashti Doobti Aey Waey Nehr-e-alqama Ek Chadar-e-abay Rawan Auray Huye Tu Nohakhwan Zainab Ki Yeh Bechadari Aey Waey Nehr-e-alqama Qabzay Main Teray Aab Ho Aur Pyaas Say Betaab Ho Sheh Kay Chaman Ki Har Kali Aey Waey Nehr-e-alqama Ashq-e-sakina Behgaye Mou Dekh Tay Sab Rehgaye Tu Aur Teri Dariyadili Aey Waey Nehr-e-alqama Yeh Kaun Sa Dastoor Tha Mehmaan Kitni Door Tha Kya Paoun Main Zanjeer Thi Aey Waey Nehr-e-alqama Khaima Rahey Shabeer Ka Youn Dhoop Main Jalta Hua Sahil Pe Ho Fauj-e-shaki Aey Waey Nehr-e-alqama Hasrat Ki Ek Tafseer Thi Khud Tere Dil Par Teer Thi Jo Mauj Uthi Aisi Uthi Aey Waey Nehr-e-alqama Aata Hai Usko Yaad Jab Vo Karvanay Tashnalab Hai Najm Ka Nauha Yahi Aey Waey Nehr-e-alqama