Alwada Alwada Mahe Ramzan Qalb-E-Aashiq Hain Ab Para Para, Alwada Alwada Mahe Ramazan.Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha, Aur Zoak-E-Ibadat Badha Tha, Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba, Alwada Alwada Mahe-E-Ramazan.Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain, Aah Issiya He Main Din Katain Hain, Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara, Alwada Alwada Mah-E-Ramzan. Koi Husn-E-Amal Na Kar Sakaa Hoo, Chand Ansoo Nazar Kar Raha Hoo, Yehi Hai Mera Kul Asasaaa, Alwada Alwada Mah-E-Ramzan. Jub Guzar Jayenge Mah Giyara, Teri Aamad Ka Aamad Ka Phir Shoor Hoga, Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa, Alwada Alwada Mah-E-Ramzan. Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi, Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee, Sub Sama Hogaya Suna Suna, Alwada Alwada Mah-E-Ramzan. Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai, Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain, Keh Raha Hai Har Aik Qatra, Alwada Alwada Mah-E-Ramzan. Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe Hain, Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe Hain, Kaun Dega Inhe Ab Dilasa, Alwada Alwada Mahe Ramzan. Sag-E-ATTAR, Badkar, Qahil, Rah Gaya Yeh Ibadat Se Gaafil, Is Se Khush Hoke Hona Rawana, Hum Sub Se Khush Hoke Hona Rawana ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN, ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN. Aae Musalman Tho Zinda Rahoge, Is Mahiney Ko Phir Dekh Looge, Kiya Teri Zindagi Ka Bharoosaaa, Alwada Alwada Mah-E-Ramzan. Saal-E-Ainda Shah-E-Haram Tum, Karna Hum Sub Par Yeh Karam Tum, Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana, Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana, Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,(AAMEEN) Alwada Alwada Mah-E-Ramadan. Waasta Tujh Ko Meethey Nabi Ka, Hashr Mai Humko Mat Bhool Jana, Roz-E-Mehshar Humain Bukhshwana, Roz-E-Mehshar Humain Bukhshwana,(Aameen) Alwada Alwada Mah-E-Ramadan. Tum Pe Lakhoo Salam Mah-E-Ramzan, Tum Pe Lakhoo Salam Mah-E-Gufran, Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara, Alwada Alwada Mah-E-Ramadan. ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN, ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN