Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz-e-hijaabana Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Ay Jalwa-e-janana Dunya Main Mujhay Tum Ne Jab Apna Banaya Hai Mahshar Mein Bhi Keh Dena Yeh Hai Mera Deevana Itna To Karam Karna Aye Nargis-e-mastana Jab Jaan Labon Par Ho Tum Saamne Aa Jana Manzil Mere Maqsad Ki Ka’aba Hai Na But-khana In Donon Se Agay Chal Ai Himmat-e-mardana Manzil Mere Maqsad Ki Ka’aba Hai Na But-khana [chorus] Zair-e-zameen Rahoon Keh Tah-e-aasman Rahun Ai Justaju-e-yaar Bata Mein Kahan Rahun … !!! Manzil Mere Maqsad Ki Ka’aba Hai Na But-khana [chorus] Le Kar Haram Main Shaikh Gaya Deen Ki Talab Pandit Ko But-kade Main Dharam Ki Talaash Hai Mera Dharam Yahi Hai Keh Mil Jaae Tu Mujhe Mujh Ko Teri Nigaah-e-karam Ki Talaash Hai … !!! Manzil Mere Maqsad Ki Ka’aba Hai Na But-khana [chorus] Vaaiz Kamaal-e-tark Se Milti Hain Muraadain Duniya Jo Chorh Di Hai To Uqba Bhi Chorh De Hai Aashiqi Main Rasm Alag Sab Se Baithna But-ḳhana Bhi Haram Bhi Kaleesa Bhi Chorh De … !!! Manzil Mere Maqsad Ki Ka’aba Hai Na But-khana [chorus] Ab Admi Kuch Aur Hamari Nazar Mein Hai Jab Se Suna Hai Yaar Libas-e-bashar Mein Hai Sehn-e-Haram Mein Hai Na Button Ke Nagar Mein Hai Jis Ki Tujhe Talash Hai Voh Dil Ke Ghar Mein Hai … !!! Manzil Mere Maqsad Ki Ka’aba Hai Na But-khana [chorus] Ay Jalwa-e-janana Ay Jalwa E Janana Ay Jalwa-e-janana Ay Jalwa E Janana [chorus] Vahdat Men Teri Harf Dui Ka Na Aa Sake Aina Kya Majaal Tujhe Munh Dikha Sake Arz-o-samaa Kahan Teri Vus’at Ko Paa Sake Mera Hi Dil Hai Voh Keh Jahan Tu Sama Sake … !!! Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Ay Jalwa-e-janana [chorus] Jo Naqsh Hai Hasti Ka Dhoka Nazar Aata Hai Parde Pe Musavvir Hi Tanha Nazar Aata Hai … !!! Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Ay Jalwa-e-janana [chorus] Us Chashm-e-ba-suroor Ka Aalam Na Poochiye Ik Ik Nigaah Hai Kaee Aalam Liye Hue Uth Ai Naqaab-e-yaar Keh Baithe Hain Der Se Kitne Ghareeb Deeda-e-pur-nam Liye Hue … !!! Maikhana-e-hasti Mein Mai-kash Vohi Mai-kash Hai Sambhle To Behak Jaye Behke To Sambhal Jaye Ai Jalwa-e-janana Phir Aisi Jhalak Dikhla Hasrat Bhi Rahe Baqi Armaan Bhi Nikal Jaye … !!! Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Ay Jalwa-e-janana [chorus] Mujhe Teri Aarzu Hai Meri ḳhalvaton Main Aa Ja Mujhe Vaasta Hai Tujh Se Mere Dil Main Tu Sama Ja Meri Zindagi Ke Maalik Meri Zindagi Main Aa Ja Tujhe Dhoondhti Hain Nazren Mujhe Ik Jhalak Dikha Ja … !!! Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Ay Jalwa-e-janana [chorus] Bas Jaan Gaya Main Teri Pahchaan Yahi Hai Tu Dil Men To Aata Hai Samajh Men Nahin Aata … !!! Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Ay Jalwa-e-janana [chorus] Meeri Mein Faqiri Mein Shahi Mein Ghulami Mein Kuch Kaam Nahin Banta Be-jurr’at-e-rindana Mit Kar Bhi Rahe Baqi Jo Tujh Pe Mitay Saqi Mit’tay Hain To Bante Hain Khaak-e-dar-e-maikhana … !!! Peeney Ko To Pee Loon Ga Par Shart Zara See Hai Saqi Ho Najaf Ka Aur Karbal Ka Ho Maikhana (Bedam) Hum Aasiyon Par Rab Ne Ye Ehsaan Kiya Hai Hum Ko Aseer-e-Haider-e-Karrar A.S. Kiya Hai Aati Hai Sada Aaj Bhi Karbal Ki Zameen Se Mil Sakta Nahi Hamsar-e-Shabbir A.S. Kaheen Se Hariaan Hun Mein Us Shakhs Pe Jis Ne Ye Na Jana Awwal Bhi Hai Afzal Bhi Muhammad S.A.W.W. Ka Gharana Saqi Ho Najaf Ka Aur Karbal Ka Ho Maikhana [chorus] Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz-e-hijaabana Aa Dil Mein Tujhe Rakh Loon Ay Jalwa-e-janana ********************************************* Singer: Muhammad Samie Composition & Arrangements: Muhammad Samie Lyrics’ Selection & Arrangement: Muhammad Samie Poets: Bedam Shah Warsi | Allama Iqbal | Khawaja Meer Dard | Akbar Allahabadi | Asghar Gondvi | Jaleel Manikpuri | Muztar Khairabadi | Fana Bulandshahri | Fana Nizami Kanpuri | Dattatriya Kaifi | Muhammad Samie ====================================== AUDIO CREW: Music: J Ali Harmonium: Muhammad Samie Dholak: Irfan Aly Dhol: Irfan Aly Tabla: Israr Dildar Acoustic Guitar: Musa Raza Recording, Mixing & Mastering: J Ali Production House: Soul Speaks