Ilahi Teri Chaukhat Par Bhikhari Ban Ke Aya Hoon Sarapa Faqr Hoon, Ijz-O-Nadamat Saath Laya Hoon Bhikhari Wo Ke Jiske Paas Jholi Hai Na Pyala Hai Bhikhari Wo Jise Hirs-O-Hawas Ne Maar Dala Hai Mataa-E-Deen-O-Danish Nafs Ke Hathon Se Lutwa Kar Sukoon-E-Qalb Ki Daulat Hawas Ki Bhent Chadhwa Kar Luta Kar Saari Poonji Ghaflat-O-Isyaan Ki Daldal Me Sahara Lene Aya Hoon Tere Kaabe Ke Aanchal Me Gunahon Ki Lipat Se Qaynat-E-Qalb Afsurda, Irade Muzmahil, Himmat Shikasta, Housle Murda Kahan Se Laaun Taqat Dil Ki Sachhi Tarjumani Ki Ke Kis Jhanjhal Me Guzri Hain Ghadiyan Zindgani Ki Khulasa Ye Ke Bas Jal Bhun Ke Apni Roo-Siyahi Se Sarapa Faqr Ban Kar Apni Halat Ki Tabahi Se Tere Darbar Me Laya Hoon Apni Ab Zaboon-Haali, Teri Chokhat Ke Layaq Har Amal Se Hath Hain Khali Ye Tera Ghar Hai Tere Mehr Ka Darbar Hai Maula Sarapa Noor Hai Ek Mohabbat-E-Anwaar Hai Maula Teri Chokhat Ke Jo Adaab Hain Main Un Se Khali Hun Nahi Jisko Saleeqa Mangne Ka Wo Sawaali Hoon Zuban Ghalt-E-Nadamat Dil Ki Nakas Tarjumaani Per Khudaya Raham Meri Iss Zabaan-E-Ijz-Zabani Par Ye Aakhen Khushk Hain, Yaa Rab Inhe Rona Nahi Aata Sulagte Daag Hain Dil Me, Jinhe Dhona Nahi Aata Ilahi Teri Chokhat Per Bhikhari Ban Ke Aya Hoon Sarapa Faqr Hoon, Ijz-O-Nadamat Saath Laya Hoon