Ek Ahsas Jagata Hai Sab Ko Raah Dikhata Hai Jab Mah E Ramzan Aata Hai (2) Naik Amal Karne Ke Din Hai Khud Ko Naik Banao Jin Ko Dukho’n Ne Ghair Liya Hai Un Ke Dard Mitao Ek Paigham Sunata Hai Dil Ke Zakhm Mitata Hai 2-Ramzan Ki Barkat Kiya Kehna Allah Ki Rehmat Kiya Kehna Sehri Ek Naimat Kiya Kehna Dik Raat Ibadat Kiya Kehna Kushiyan Eid Ki Lata Hai Bichre Huwo’n Ko Milata Hai Waqt Sehar Ho Ya Iftari Dastar Khuwan Bicha Kar Farz Ibadat Karni Hai Bacho’n Ko Sath Mila Kar Yun Adaab Sikhata Hai Ulfat Pyaar Barhata Hai Bhatke Huwe Ko Raah Dikhana Jhoot Se Nafrat Karna Bhuko’n Ko Roti Pochana Muflis Ka Dum Bharna Jo Allah Batata Hai Us Raste Pe Chalata Hai Subh Sawere Pehle Namazain Us Ke Bad Tilawat Din Bhar Apna Rizq Kamana Aur Roze Ki Haalat Jism Ko Pak Banata Hai Rab Ki Yaad Dilata Hai Maiyaar Ibadat Hai – Ramzan Zehno Ki Taharat Hai – Ramzan Sajdo’n Ki Riyazat Hai – Ramzan Bakshish Ki Zamanat Hai – Ramzan Dil Se Dil Ko Milata Hai Jeena Hum Ko Seekhata Hai Mazhar O Mesum Ek Mahina Saal Main Aesa Aaye Bande Se Mabood Ka Rishta Jo Mazboot Banaye Yaad Khuda Ki Lata Hai Dil Sajde Main Jata Hai