Maut Ki Aaghosh Main Jab Thak Ke So Jati Hai Maa Lyrics ***************************************** Mout Ki Aagosh Mein Jb Tak So Jati Hy MAA, Tu Kahin Ja K Thora Sa Sakun Paati Hy MAA, Rooh K Rishton Ki Ye Gehrai Tu Dekhye, Chot Lagti Hai Hume Or Chilati Hy MAA, Mangti Hy Kuch Nahe Apny Liye Allah Sy, Apnay Bacho K Liye Daman Ko Phelati Hai MAA, Pyar Kehtay Hen Kise Or Mamta Kya Cheez Hai, Koi Un Bachon Se Puche Jin Ke Guzar Jati Hai MAA, Chahe Hm Khushion Me MAA Ko Bhool Jaen Dosto, Jb Musibat Sar Pe Aati Hai Tu Yaad Aati Hai MAA...! Fikr Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa Nojawaan Hotay Huwe Boodhi Nazar Aati Hai Maa Rooh Ke Rishtay Ki Yeah Gehrayean To Daikheye Choot Lagti Hai Humaray Aur Chillati Hai Maa Oadthi Hai Hasrathoan Ka Khud To Bosida Kafan Chahatoan Ka Payrahan Bachoan Ko Pehnathi Hai Maa Ek Ek Hasrath Ko Apne Azm Wo Istekhal Se Anso’oan Se Ghusl De Ker Khud Hi Dhafna Thi Hai Maa Bhuka Rehne Hi Nahi Dethi Yateemon Ko Khabhi Jane Kiskis Se Kahan Se Mang Kar Lati Hai Maa Haddiyoon Ka Ras Pila Kar Apnay Dil Ke Chain Ko Kitnee Hi Ratoon Mai Khali Pait Soo Jati Hai Maa Jane Kitne Barf Si Ratoon Me Aysa Bhi Hua Bacha To Chaati Pe Hai Gelay Main Soo Jati Hai Maa Jab Khilone Ko Machalta Hai Koie Ghurbat Ka Phool Aansoon Ke Saaz Par Bachay Ko Behlati Hai Maa Fiker Ke Shamshaan Me Aakhir Chitaoon Ki Terha Jaisai Sookhi Lakdeyaan, Is Terha Jal Jati Hai Maa Bhook Se Majboor Ho Kar Mahmaan Kai Samne Mangtea Bachche Jab Roti To Sharmati Hai Maa Zindigi Ki Siskiyaan Sun Kar Hoos Ai Shahar Se Bhookai Bachchoon Ki Giza Apna Kafan Lati Hai Maa Muflisi Bache Ki Zid Par Jab Utha Leti Hai Haath Jaisea Ho Mujrim Koi Is Tarha Sharmati Hai Maa Apnay Aanchal Se Gulabi Aansuoon Ko Poonch Kar Dair Tak Gurbat Pe Apne Ashk Barsati Hai Maa Samne Bachoon Ke Khush Rahti Hai Har Ik Haal Main Raat Ko Chup Chup Ke Laikin Ashk Bersati Hai Maa Kab Zarurat Ho Meri Bachay Ko Itna Sooch Kar Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Ma Pehlay Bachoon Ko Khilati Hai Sukoon-o-Chain Se Baad Mai Jo Kuch Bacha Ho Shouk Se Khati Hai Maa Mangti Hi Kuch Nahi ApnaeaLeye ALLAH Se Apnea Bachoon Ke Leye Daman Ko Phailati Hai Maa De Ek Bimaar Bachche Ko Duain Aur Dwa Sarhanea Hi Rakh Kai Sar Kadmoon Pa So Jati Hai Maa Jane Anjane Me Hojaye Jo Bachoan Se Khusoor Ek Anjaani Sazaa Ke Dar Se Tharrathi Hai Maa Gar Javan Baiti Ho Ghar Main Aur Koie Rishta Na Ho Ek Naye Ehsas Ki Suli Pe Chard Jati Hai Maa Har Eebadat Har Mohabbat Mai Nihan Hai Ek Gharaz Be-Gharaz, Be-Lous, Har Khidmat Ko Kar Jati Hai Maa Apne Bachoan Ki Bahaar-e-zindagi Ke Waste Ansooan Ke Phool Har Mausam Me Barsati Hai Maa Zindigi Bhar Beenti Hai Khaar Rahe Zeest Se Jate Jate Naimate Firdos De Jati Hai Maa Bazuwoon Me Khinch Ke Aajayegi Jaise Kayenat Apnai Bachay Ke Leye Bahoon Ko Phailati Hai Maa Ek Ek Hamle Se Bachche Ko Bahanai Kai Liya Dhall Banti Hai Khabhi Talwar Baan Jati Hai Maa Zindagani Ke Safar Me Gardishoon Ki Dhoop Mai Jab Koie Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa Pyar Kehtai Hain Kise Aur Mamta Kya Cheez Hai Koie Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Mar Jati Hai Maa Pehle Dil Ko Saaf Kar Ke Khoob Apnai Khoon Se Dharkanoo Pa Kalma-e-tawheed Likh Jati Hai Maa Safha-e-Hasti Pe Likhti Hai Usool-e-Zindagi Is Liye Ek Maktab-e-Islam Kehlati Hai Maa Us Nayi Duniya Ko Diye Masoom Rahber Is Leye Azmatoon Me Sani-e-Quran Kehlati Hai Maa Ghar Se Jab Pardes JaTa Hai Koie Noor-e-Nazar Haath Main Qur’an Le Kar Dar Pe Aajati Hai Maa De Ke Bachay Ko Zamanat Main Raza-e-Pak Ki Peechay Peechay Sar Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa Kanpti Aawaz Sai Khaiti Hai “Baita Alwida” Samne Jab Tak Rahe Haatoon Ko Lehrati Hai Maa Ris Ne Lagta Hai Poranai Zakhm Se Taza Lahoo Hasratoon Ki Bolti Tasveer Ban Jati Hai Maa Jab Parayshani Me Ghir Jate Hain Hum Pardes Me Aanso Ko Poanch Ne Khwaboo Me Aajati Hai Maa Lout Kai Wapas Safar Se Jab Bhi Ghar Aate Hain Hum Daal Kar Bahain Gale Main Sar Ko Sehlati Hai Maa Aisa Lagta Hai Kai Jaise Aagea Firdoos Me Bhinch Kar Bahoon Main Jab Seenai Se Liptati Hai Maa Dair Ho Jati He Ghar Aane Main Aksar Jab Hamain Rait Per Machli Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa Marte Dam Bacha Na Aapaya Agar Pardes Se Apni Donoo Putliyaan Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maa Baad Mar Janaea Ke Phir Baite Ki Khidmat Ke Leye Bhes Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa Hum Blaaoo Main Kahin Ghirtea Hain To Be Iktiyaar Khair Ho Bachche Ki Kah Kai Dar Pa Aa Jati Hai Maa Door Ho Jata Hai Jab Aankhoon Se Godi Ka Lal Dil Ko Hathoon Se Pakar Kai Ghar Ko Aa Jati Hai Maa Doosrea Hi Din Se Rahti Hai Khatoon Ki Muntazir Dar Pa Aahat Ho Hwa Se Bhi To Aa Jati Hai Maa Chahe Hum Khushyoun Me Maa Ko Bhool Jayen Doasto Jab Musibat Sar Pe Aati Hai Tho Yaad Aati Hai Maa Door Ho Jati Hai Sari Omr Ki Us Dum Thakan Biyah Kar Betay Ka Jab Ghar Bahu Lati Hai Maa Cheen Lati Hai Wohi Aksar Sukoon-e-zindagi Pyar Se Dhulhan Bana Kar Jis Ko Ghar Lati Hai Maa Phair Laaatea Hai Nazar Jis Waqt Baita Aur Bahu Ajnabi Apne Hi Ghar Hai Baan Jati Hai Maa Hamne Ye Bhi Tho Nahi Soachan Alaag Hone Ke Baad Jab Diya Hi Khuch Nahi Ham Ne Tho Kya Khati Hai Maa Zabt Tho Dakho Ke Itni Berukhi Ke Baujood Bd Dua Deti Hai Hargis Aur Na Pashtati Hai Maa Allah Allah Bhool Kar Ek Sitam Ko Raat Din Pooti Poote Se Shakista Dil Ko Behlati Hai Maa Baita Kitna Hi Bora Ho Par Parosan Kai Hozoor Rook Kar Jazbaat Ko Baitai Kai Gun Gati Hai Maa Shadiyaan Kar Kar Kai Bachche Ja Basai Pardes Mai Dil Khatoon Se Aur Tasveeron Se Bahlati Hai Maa Apne Sinai Par Rakhai Hai Kainatai Zindigi Ye Zamin Is Wastai Ae Dost Kahlati Hai Maa Saal Bhar Me Ya Khabhi Hafte Me Jumeraat Ko Zindagi Bhar Ka Sila Ek Fateha Pati Hai Maa Gumraahi Ki Gard Jam Jai Na Merai Chand Par Barishe Imaan Main Yoon Roz Nehlati Hai Maa Apne Pehlu Me Lita Kar Roz Totea Ki Tarha Eik Barah Panch Chouda Ham Ko Ratwati Hai Maa *************************************** Maut Ki Aaghosh Main Jab Thak Ke So Jati Hai Maa Thak Ke So Jati Hai Maa MP3 Dua By Hafiz Fahad Shah. Listen Online Or Download This Beautiful Kalam Maut Ki Aaghosh Main Jab In The Beautiful Voice Of .Hafiz Fahad Shah. Thak Ky Jab Maah Is A Kalam Recited B Hafiz Fahad Shah. Listen This Naat Online Or Download In MP3 Format From Thenaatsharif.com Moat Ke Agosh Main Jab Thak Ky Soo Jati Hy Maah Is One Of The Best MP3 Naat By Hafiz Fahad . Shah. Mout Ki Aagosh Mein Jb Tak So Jati Hy Maa Lyrics In Urdu, Enlgish, Hindi, And Roman Urdu Mout K Aagoosh Main Ringtone Download For Free To Personalize Your Iphone Or Andriod Devices. Download Maut Ki Aaghosh Main Jab Thak Ky So Jati Ha Maa In Mp3 Format Form Our Site