BA WAQT E RUKSATE HYDER JO AAYI ROOHE BATOOL TADAP KE BOLI MERE HAMSAFAR WASI E RASOOL HUWA NA AAPKI TARAHA KOI BHI YOUN MAQTOOL YEH JAAN LEVA MUSAIBAT KIYA ISSE BHI QABOOL BAS AB YEH ZABT E SITAM KHATM KIJIYE MOULA HAME BHI APNA ZARA WAQT DIJIYE MOULA AYE MERE HAMSAFAR MERE HYDER MAI AAYI HOON LENE TUMHE AYE SAQI E KAUSAR MAI AAYI HOON AB SANG CHALO KE ZULMO SITAM SEH CHUKE BOHAT HUM BHI BAGHAIR APKE AB REH CHUKE BOHAT IS WASTE BHI AYE MERE SHOHAR MAI AAYI HOON KAISA SITAM HAI KAISA MUSIBAT KA HAI SAMA'N GHASH ME HAIN AAP AUR HAI SAR SE LAHOO RAWA'N MARHAM LAGANE ZAKHM KE UPAR MAI AAYI HOON BACHON KA KITNA DHYAN RAKHA MERE BAAD ME EHSAAS E MAA NA HONE DIYA MERE BAAD ME KARNE TUMHARA SHUKRIYA DILBAR MAI AAYI HOON GEHRA HAI ZAKHM TEGH AMAMA HAI KHOON ME DOOBA HUWA JO APKA CHEHRA HAI KHOON ME KARNE KO SAAF WOH RUKH E ANWAR MAI AAYI HOON SAB SAUP KE HASAN KO MERE SATH ME CHALO AB ODHLO KAFAN KO MERE SATH ME CHALO FARIYAD YEH ZABAN PAR LEKAR MAI AAYI HOON GHABRAO MAT KE SHABBAR O SHABBIR BHI TO HAIN ABBAS BHI HAI ZAINAB E DILGEER BHI TO HAIN YEH SOCH KAR WASI E PAYAMBAR MAI AAYI HOON FIRDAUS ME BHI HOKE YEH DUKHIYA UDAAS HAI HAI APKE BAGHAIR YEH ZEHRA UDAAS HAI BEHER E SUKOON AYE MERE HAMSAR MAI AAYI HOON JIS DAM GAYI HAYAT KO DEKE REHAYI MAI LEKE GAYI THI AAPKE GHAR SE VIDAYI MAI PHIR EK BAAR APKE GHAR PAR MAI AAYI HOON AAYE AAMIR O KUMAIL WOH MANZAR AJEEB THA GODIH ME SAR KO RAKKHE YEH KEHTI THI FATIMA BABA KE PAAS ASHK BAHA KAR MAI AAYI HOON