Dhal Gaya Din Vo Takti Rahi Raasta Haath Se Damane Sabr Jaata Raha Rukh Kiya Su E Darya Ye Rokar Kaha Haye Rokar Kaha Chacha Jaan Paani Nahi Chahye Meri Pyaas Tu Tum Se Bhadh Kar Nahi Main Mar Jaaungi Mera Karlo Yaqeen Mujhe Raas Aayi Na Yeh Sar Zameen Khuda Ra Na Ab Aur Tarpaaye Chacha Jaan Paani Nahi Chahye Nahin Jaane Woh Kaisi Ghadi Aayi Thi Pidar Se Ijazat Jo Dilvayi Thi Main Khud Apni Gurbat Se Ghabraayi Thi Khata Dar Guzar Meri Farmayiye Chacha Jaan Paani Nahi Chahye Chacha Yeh Sakina Ka Wada Raha Ke Ab Al-ataash Ki Na Dongi Sada Bina Aap Ke Hai Yeh Jeena Saza Jeeyon Kaise Itna To Batalaiye Chacha Jaan Paani Nahi Chahye Sakina Pe Jaan Dene Wale Chacha Kya Mujhko Kis Ke Hawale Chacha Bhula Dongi Honton Ke Chhale Chacha Mujhe Aa Ke Sine Se Lapataiye Chacha Jaan Paani Nahi Chahye Khabar Aap Ke Qatl Ki Yun Mili Mere Baba Jaan Ki Kamar Jhuki Rida Phank Ke Ro Rahi Hain Phuphi Yeh Manzar Dekhnay Aaye Chacha Jaan Paani Nahi Chahye Chidi Mashk Meri Koi Gham Nahi Meri Aas Tuti Koi Gham Nahi Main Pyaasi Rahungi Koi Gham Nahi Dawa Mere Zakhmon Ki Ban Jaiye Chacha Jaan Paani Nahi Chahye Yeh Mazhar, Yeh Mesum, Yeh Ahl-e-Aza Yehi Keh Ke Kartay Hain Matam Bapa Yeh Jumla Sakina Hai Marsiya Bas Ab Aap Darya Se Aa Jaiye Chacha Jaan Paani Nahi Chahye