Nazar Mein Leke Bahattar Shahadato Ka Nizam- Hilal Se Shabe Ashur Keh Rahe Hai Imam (as)- Lahoo Mein Dubi Huwi Dastaan Sunate Hai- Hilal Aao Tumhe Karbala Dikhate Hai- Suno Hilal Suno Suno Hilal Suno Shahadato Ka Yeh Ek Silsila Hai Batarteeb- Banegi Kal Isi Maqtal Ki Khaaq Sab Ka Nasib- Na Dekh Paaoge Jo Waqt Aarahan Hai Kareeb- Shahid Hoge Yahan John Aur Zohairo Habib- 1) Palat Ke Aayega Koi Baraye Kurbaani- Tumhe Khabar Hai Kai Deen Se Band Hai Paani- Ada Karenge Bhala Kaise Haqqe Mehmaani- Yahan Pe Khoon Mein Dubegi Hur Ki Peshaani- 2) Woh Laal Jo Hame Lagte Hai Jaan Se Pyaare- Karenge Jung Yahi Teen Roz Ke Pyaase- Lahoo Lahoo Nazar Ayenge God Ke Paale- Shahid Hoge Yahan Naunihal Zainab (sa) Ke- 3) Bayaan Shahadate Qasim Ka Ab Karain Kaise- Naa Baaz Ayenge Ek Zulm Par Jafa Waale- Bhagaye Jayenge Us Jism Naaz Par Ghode- Simat Na Paayege Paamal Laash Ke Tukde- 4) Ajib Zakhme Jigar Hai Ye Ranjo Gum Ki Asaa- Rahega Kaun Madad Gaar Ab Hussain (as) Ke Paas- Hame Zaeef Kiye Jaaraha Hai Yeh Ahsaas Na Kar Furaat Se Aayege Laut Kar Abbas (as)- 5) Lahoo Bhare Huwe Mashko Alam Jab Aayege- Kamar Pakad Ke Sare Dasht Beth Jaayenge Phir Aysa Quwate Baazu Kahan Se Laayenge Bagair Bhai Ke Khaime Mein Laut Aayege- 6) Hamara Laal Jo Akbar(as) Hai Mustafa (saww) Jaisa- Sinaane Zulm Woh Apne Jigar Pe Khaayega- Nazar Ke Saamne Hoga Jawaan Ka Laasha- Ajib Waqt Mein Aayega Qasid-e-sughra (sa)- 7) Yahan Pe Hoga Sitam Aysa Ek Bache Par- Zamino Arsh Bhi Hojayen Jis Pe Zero Zabar- Tum Hi Bataao Ke Hum Baap Hain Kahain Kyun Kar- Yeh Woh Jagaah Hai Jahan Hogi Turbate Asghar (as)- 8) Tasavuraat Mein Jaakar Zara Udhar Dekho- Namaze Asr Ke Manzar Ko Ek Nazar Dekho- Nasheb Mein Tahe Khanjar Hamara Sar Dekho- Jo Dekh Paao To Zehra (sa) Ko Nauhagar Dekho- 9) Jahan Pe Khud Koi Mazlum Apni Baat Kare- Har Ek Lafz Pe Aanko Se Behre Ashk Bahe- Padhe To Kis Tarah "mesum" "Kaleem" Kaise Likhe- Baiyaze Gum Hai Musalsal Hussain (as) Ke Fikre-