Ya Ali (as) Adrikni Ro Ky Bazar Main Daiti Thi Sada Binte Ali (as) Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni Nok E Neza Sy Sada Daita Hai Ibn E Zehra (sa) Log Zainab (sa) Ki Taraf Dekh Rahay Hain Baba Zair E Khanjar Nazar Ati Hai Tumhari Baiti Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni Imtehan Ghairat E Sajjad (as) Ka Kaisa Hoga Qatal Darbar Main Sajjad Dobara Hoga Mangnay Aya Hai Bachi Ko Kaneezi Main Shaaqi Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni Kehdo Zalim Sy Mujhay Mar Ly Akar Dur’ra Baba Zainab (sa) Sy Yea Manzar Nahi Dekha Jata Marta Hai Who Meray Bhai Ky Honton Py Chari Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni Sar Khulay Sham Main Sadat, Jidhar Jatay Hain Log Pathar Liye Pehle Hi, Nazar Atay Hain Ajj Bazar Main Mar Jaye, Na Koi Bibi Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni App Ky Samne Jo Baat Nahi Karti Thi Ajj Bazar Main Woh Baiti Bhi Khutbay Degi App Ky Lehjay Ki Is Waqt, Zaroorat Hai Bari Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni Abhi Darbar Sy Pehle Hi, Guzar Jayegi Sun Liya Sani E Zahra (sa) Ny To Mar Jayegi Log Kehte Hain Hussain (as) Ibn Ali (as) Ko Baghi Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni Saray Bazar Ny Hans Hans Ky, Tamasha Dekha Aur Bhi Shimr Ny Is Baat Py, Is Ko Mara Jab Tamanchon Py Sakina (sa) Yea, Tarap Kar Boli Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni Bab E Sa’at Ka Jo Bazar Sy Dekha Manzar Thay Takallum Wahan Sub Log Uthaye Pathar Sani E Zehra (sa) Yea Kehti Hui Naqay Sy Giri Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni