Ya Ali Ya Hussain Lyrics Allah X3 Allah Hee Allah X4 Tu Hee Tu Allah, Allah Tu Hee Tu Allah X2 Jo Mohammad Ka Wafadar Hai, Allah Uska, Karbala Uski, Najaf Uska, Madina Uska, Zindagi Hai To Bus Ali Ki Tarha, Maut Aye To Ya Hussain, Hussain! Ya Hussain X6 Yah Ali Yah Hussain X4 Awaaz E Muhammad Ka Asar Khatam Na Hoga X2 Thak Jayega Suraj Yeh Safar Khatam Na Hoga. Ya Ali, Ya Hussain X3 La Raib Pay Rasool Ki Dono Hain Zebo Zen Pehlu Mein Ya Ali Hai, To Godi Mein Ya Hussain Godi Mein Ya Hussain! Loho Qalam Ka Ilm Ka Sadiq Hai Ya Ali Jab Tak Khuda Ka Mulk Hai Malik Hai Ya Hussain Malik Hai Ya Hussain! Yeh Ilm Ka Dar Sabr Ka Ghar Khatam Na Hoga. Thak Jayega Suraj Yeh Safar Khatam Na Hoga X2 Ye Saltanat E Ishq Hai Khuddar Milengay Salmano Abuzar Say Wafaadar Milenge Wafaadar Milenge! Qasim Yahan Mesum Say Jigar Taar Milenge Jinay Kay Liye Marnay Pay Tayyar Milengay Tayyar Milengay! Kat Jaye Zaban Ishq Magar Khatam Na Hoga Thak Jaayega Suraj Ye Safar Khatam Na Hoga X2 Muslim Bin E Aqeel Safeer E Hussain Hai Hub E Ali Hai Dil Mein Masheer E Hussain Hai Masheer E Hussain Hai! Woh Badshah Aur Yeh Wazeer E Hussain Hai Aisa Wazeer Hai Kay Faqeer E Hussain Hai Faqeer E Hussain Hai! Ta Hashr Sifarat Ka Safar Khatam Na Hoga. Thak Jaayega Suraj Yeh Safar Khatam Na Hoga Ya Ali Ya Hussain X3 Hur Ko Sakhi Hussain Nay Aali Bana Diya Aisa Ke Panjatan Ka Sawaali Bana Diya Sawaali Bana Diya! Nad E Ali Nay Isko Jalali Bana Diya Rumal E Fatima Nay Misali Bana Diya Misali Bana Diya! Yeh Dar Hai Ata’aon Ka Yeh Dar Khatam Na Hoga. Thak Jaayega Suraj Ye Safar Khatam Na Hoga X2 Aie Meray Rabb E Jahaan Aie Muhammad Kay Khuda Yeh Tera Ishq Hee Tha Jis Ki Parwaaz Juda Yeh Tera Ishq Hee Tha X2 Panjatan Say Jo Mila Ishq Ka Tere E Safar Ishq Haidar Mein Mila Kabhi Mesum, Kabhi Miqdad O Abuzar Main Mila Kabhi Salman Kay Dil Mein, Kabhi Qambar Me Mila Aur Maqtal Main Jo Dekha To Bahattar Mein Mila Laike Ishq He Tu, Tera Jalwa Har Su X2 Ay Mere Rab E Jahaan Ay Mohammad Ke Khuda Ishq Tunay Bhi Diya Aur Muhammad Tera Jiski Chahat Kay Liye Yeh Jahaan Khalq Kiya Woh Tera Ishq Hi Tha X3 Aie Meray Rabb E Jahan X2 Ik Ajab Ishq Huwa Woh Sare Karbobala Tera Aashiq Hai Khara Khoon Mein Duba Huwa Day Chuka Lakhtay Jigar Day Chukka Noor E Nazar De Chukka Sara Woh Ghar Aur Khanjar Ke Talay Uska Sajday Mein Hay Sir Na Namazi Aisi, Na Ashiq Ka Kaleja Aisa Noke Neza Pe Bhi Karta Hee Raha Zikr Tera Ya Ali, Ya Hussain X3 Eik Zulfiqaar Khalq Main Do Haath Say Chali Dast E Hussain O Panjae Mushkil Kusha Ali Yeh Mustafa Ki Jaan Woh Allah Ka Wali Dono Ka Martaba Bhi Do Alam Pe He Jail Dono Ka Is Kamaal Se Sajda Ada Huwa Haider Se Ibteda Huwi Ya Khatima Huwa Ya Ali, Ya Hussain X3 Hai Waqt E Asr Marziye Parwardigar Hai Aab Pushte Zuljana Pe Maula Sawaar Hai Pehlu Mein Khun Roti Huwi Zulfiqaar Hai Hum Rah Zuljanah Bhi Bohot Dil Figaar He Qurban Zuljanah Pe Aur Zulfiqar Par Chalte Thay Dono Marziye Parwardigar Par Ya Ali, Ya Hussain X3 Jaisi Woh Zulfiqaar Thi Waisa Tha Zuljanah Bachpan Say Saath Saath Hee Rehta Tha Zuljanah Bay Misl O Bay Nazir Tha Aala Tha Zuljanah Kyun Kar Na Ho Rasool Nay Pala Tha Zuljanah Pehla Sawaar To Nabiye Kirdigaar Hai Aur Doosra Ye Doshe Nabi Ka Sawaar Hai Ya Ali, Ya Hussain X3 Jite Thi Jab Bhi Sheyr Chitwan Hiran Ki Aankh Chalta Tha Dekh Dekh Ke Shahe Zaman Ki Aankh Parti Thi Yun Harif Pe Us Sab Shikan Ki Aankh Larzi Ho Jese Halq Me Shamshir Zan Ki Aankh Teghaayi Jispe Urh Kabhi Baar Urhte Chalgaya Wo Sar Gira Gayi To Ye Lasha Uchalgaya Ya Ali, Ya Hussain X2 Kehta Tha Zulfiqaar Se Ab Meri Jang Dekh Chal Tere Saath Saath Zara Mera Rang Dekh Is Kaas Mei Laraayi Ka Mera Bhi Dhang Dekh Raah-e-hayaat Fitron Pe Karta Hoon Tang Dekh Mana Tu Zulfiqaar Hai Marhab Shikaar Hai Leykin Ye Dekh Kon Ye Mujhpar Sawaar Hai Ya Ali, Ya Hussain X3 Simta Jamaa Urha Idhar Aya Udhar Gaya Chamka Phira Jamaal Dikhaya Tha Har Gaya Teeron Pe Urh Ke Barchiyon Mei Bekhatar Gaya Bar Haq Kiya Sabon Ko Saron Par Guzar Gaya Aya Jo Zad Mei Iski Ajal Aagayi Usse Is Saath Koi Zarb Zameen Kha Gayi Usse Ya Ali, Ya Hussain X3 Allah Re Laraayi Mei Shokat Hussain Ki Heete Wo Zuljanah Mei Sur’at Hussain Ki Qudrat Baghor Zad Ki Thi Surat Hussain Ki Chehre Udaas Sakina Hai Haybat Hussain Ki (Bole Ali Hussain) X2 Ho Ab Bhi Hawaas Mei Aisi To Jang Ham Na Lare Mulk-o-yaas Mei Hussain Ya Hussain X3 Ayi Sada-e-ghayb Ke Bas Bas Hussain Bas Dam Le Hawaa Mei Eik Nafas Bas Hussain Bas Garmi Se Haanfta Hai Faras Bas Hussain Bas Waqt-e-namaaz Asr Hai Bas Bas Hussain Bas Hussain Ya Hussain X3 Ye Sunte The Hazrat Jo Laga Pusht Pe Dhara Qarboos Pe Tharra Ke Gire Hazrat-e-waala Jibreel Ne Qadmon Se Rikaabat Ko Nikala Aur Haathon Ko Garden Mei Yadullah Ne Daala Dekha Jo Zuljanah Ne Ghash Khate Zeen Par Bas Beyth Gaya Dekh Ke Ghutnon Ko Zameen Par Quran Rehl-e-zeen Se Sar-e-farsh Gir Para Dewaar-e-kaba Beyth Gayi Arsh Gir Para Hussain Ya Hussain X3 Chillayi Fatemah Mera Bacha Hai Be Gunaah Ay Arz-e-nainawah Mera Bacha Hai Be Gunaah Ay Nehr-e-alqamah Mera Bacha Hai Be Gunaah Ay Zulfiqaar Tu Hi Bachaale Hussain Ko Ay Zuljanah Tujhse Mei Luti Hussain Ko Hussain Ya Hussain X3 Duba Lahu Mei Lot Ke Aaya Hai Zuljanaah Samjhi Sakina Baba Ko Laaya Hai Zuljanah Sar Khaak Per Patak Kar Gira Wo Rahwaar Sayyedaniyon Bichar Gaya Mujhse Mera Sawaar Jaldi Utaarlo Ye Tabarruk Ye Zulfiqaar Are Kat’ta Hai Waa Gulu-e-shahenshaah-e-naamdaar Zahra Qareeb-e-laash-e-pisar Khaak Urhaati Hai Are Khaymon Mei Jaawo, Lutne Ko Foj Aati Hai